Uppskill

Pilot Projects kya hote hai aur marketer usko kaise use kar sakte hai?

Informações:

Sinopsis

Doston kisi bhi startup ko shuru karne se pahle hum uspe pilot project run karte hai, ye sort of ek testing hota hai jo kam keemat pe hamen market ki validation de deta hai aur saath hi hamare product ya service ki kamiyon ko bharne me madad bhi karta hai. Theek isi tarah se marketers hamesha koi na koi pilot projects chalate rahte hai apne campaign ko le ke, usse ye test karte hai ki kya kya cheezein kaam kar sakti hai aur kaise unko behtar banaya jaye.  Aaj ke podcast me examples ke saath bilkul asaan bhasha me hum ye samjhenge ki aisa kaise kar sakte hai  Chaliye khud ko #UppSkill karte hai